Agar main ne shaadi kar li toh kahin woh jin naraz na ho jaye, isi wajah se main shaadi ki peshkash qabool nahi karti. Insho

Pakistani film industry ki mazi ki maya naaz adakara Nisho Begum ne kaha hai ke unki qismat mein shaadi hi nahi likhi hai ya phir koi aisa jin hai jo unki shaadi nahi hone deta. Haal hi mein ek interview ke dauran, mehman ne Nisho Begum ke samne Saba Hameed aur Bushra Ansari samait un senior adakaraon ke naam liye jinhone pehli shaadi mein nakaami ke baad zaid umar mein doosri shaadi ki. Mehman ne Nisho Begum se poocha ke meri ittila ke mutabiq aapko ek bohat bade tajir ne shaadi ki peshkash ki hai to kya aap is khabar ki tasdeeq karein gi ya tardid?

Is sawal ke jawab mein Nisho Begum ne kaha ke mujhe to aisa lagta hai ke kisi ne meri shaadi mein rukawat daali hui hai ya phir koi aisa jin hai jo nahi chahta ke main shaadi karoon aur apna ghar basaon. Nisho Begum ne kaha ke main sochti hoon ke agar main ne shaadi karli to kahin woh jin naraz na ho jaye, isi wajah se main shaadi ki peshkash qabool nahi karti. Senior adakara ne kaha ke shaadi ek bohat badi zimmedari hai jabke abhi mere upar koi zimmedari nahi hai, main apni marzi se ghoomti phirti hoon, aish karti hoon, apni marzi se soti aur uthti hoon. Unhone kaha ke shayad, meri qismat mein shaadi likhi hi nahi hai kyunke agar koi mere sath shaadi nibhata hai to woh Allah ko pyara ho jata hai. Nisho Begum ne mazahiya andaaz mein kaha ke jin logon ne mujhe shaadi ki peshkash ki hai unse yahi kahungi ke agar aapko apni jaan azeez hai to mujhse shaadi na karein.

Wazeh rahe ke Nisho Begum ne 1970 mein Inam Rabbani se pehli shaadi ki thi, unki yeh shaadi sirf 6 saal tak chali aur phir talaaq par khatam ho gayi thi. Talaaq ke baad Nisho Begum ne 1978 mein naghma nigar aur shayar Tasleem Fazli se doosri shaadi ki, doosre shauhar ki wafat ke baad unhone Jamal Pasha se teesri shaadi ki thi. Nisho Begum ke teesre shauhar Jamal Pasha saal 2019 mein duniya se coach kar gaye the.




Post a Comment

Previous Post Next Post